Namaskar. Main aisa maanti hun ki mata,pita,guru, matrubhumi aur matrubhumi ke rakshak hamare veer jawan ,inke liye insaan jitna bhi kare woh kam hai.Humare desh ke veer jawan, jo desh ki raksha ke liye apne prano'n ki bhi parwah nahi karte,unhi ki wajeh se hum surakshit rehete hain.Humara bhi ye param kartavya banta hai ki hum unke liye apni taraf se jo bhi kuch ho sake woh zaroor karein.Main apni taraf se apne veer jawan bhaiyo'n ke liye Army welfare fund battle casualties mein kuch dhan rashi arpan kar rahi hun,mere upar aap ka yeh ehesaan hoga ,agar aap sab bhi yatha shakti is kaarya mein apna yogdaan de.28th September ko mera janam din hai,aap har saal mujhe sneh purvak hazaaro'n ki sankhya mein phool,meethaiyaan,cakes,greeting cards bhejte hain,mera aap sabko vinamra nivedan hai ke,is varsh mujhe ye sab bhejne ki bajaay aap wohi dhan rashi,aur jitni adhik aap se ho sake wo aap apne veer jawan bhaiyo'n ke liye arpan karein. Mujhe asha hai ki aap ka pyar aur aashirwad aise hi bana rahega. Jai Hind, Vande Mataram.

Fund name: Army welfare fund battle casualties ..
Bank: Syndicate Bank South Block New Delhi, 110011.
Branch Code: 9055
IFSC: SYNB0009055
A/C No:90552010165915

Reply · Report Post