Namaskar. Kal "Aye Mere Watan Ke Logo" is gaane ke 51 saal pure ho rahe hain. Ye saal kaise guzre pata hi nahi chala parantu us samay jo vatavaran gambhir aur dukh bhara tha wo har saal yaad aata hai. Humare ek ek jawan ne dus dus dushman maare aur phir shaheed ho gaye. Un shaheedo'n ki yaad me ye geet maine 27 january 1963 mein hum sab ke priya pandit jawaharlal nehru ji ke saamne prastut kiya. Sabki aankhein bhar aayi thi. Aisa dard bhara geet humare kavi pradeep ji ne likha tha aur uski dhun c.ramchandra ji ne banayi thi. Humare shaheed jawano'n ko hum kaise bhool sakte hain. Humare jawan hai to humara desh hai. Aur desh hai to hum. Aise humare shaheedo'n ko main koti koti pranam karti hun aur meri shraddhanjali arpan karti hun. Jai hind. Jai jawan jai kisan.

Reply · Report Post